Mosami Sir Dard Kya Hota Hai OR Isse Kese Bacha Ja Sakta Hai






              Hello dosto….
                        Kese ho aap sab…. Ummid hai ki aap sab thik hi honge  but barish ka Mosam chal raha hai jiske karan bahut se dosto ke sir me Dard hota hoga issi Mosami Sir DArd ke vare me,  me apne aaj ke post me bata raha hu ki kis tarike se Mosami Sir Dard Se Bacha Ja Sakta Hai


Aap sabko pta hai ki barish ka Mosam suru ho chukka hai mene suna tha ki Mosam change hone ke sath sath some people ke Sir me Dard Hona Start ho jata hai issi Sir Dard ko dyan me rakh kar  socha kyu na ek yesi post likhu jisme Mosami Sir DArd kya hota hai ,kyu hota hai ,kab hota hai , kese hota hai .isse kese bacha ja sakta hai, full jankari ek hi place par visitor ko mil jaye ..

   Mosami Sir Dard Kya Hota Hai

According to doctors,
                                           Mosam ke change hone par kai logo ko Sir dard ki sikayat hone lagti hai jese thand se garmi aane par, garmi se barish aane par, yah Mosami Sir    Dard ke lakshan hote hai
Mosam ke sath sath sir dard ka prakar bhi alag alag hota hai  mosam ke sath hone bala normal sir dard claster Sir Dard hota hai 







Mosami claster Sir Dard ke lakshan nimn hote hai
1.       Aankho ke niche ya aaspaas dard ka hona


Mosami claster headache ke karan hamari aankho ke aas paas dard bahut tej hota hai yha migren se bhi aadhik pidha dayak hota hai aankho me yesa lagta hai mano koi  kante  chubha raha ho


2.       Dard ka time period


 yah ek din me ek baar ya  do baar yaa ek week ya ek month me ek baar ho sakta hai kyuki yah Mosami Sir dard hai isliye iska time period hona ek aam bat hai Haar saal ek hi time par sir dard ka hona hi mosami sir dard ke lakshan hai

3.       Dard ka time period hota hai

Yee mosami claster sir dard haar saal ek hi time and ek hi month me start hota hai or is mosami sir dard me time bhi fix hota hai jese 1 se 2 , 3 se 4 , ya rat ko 9 baje sir dard ki aasanka jyada hoti hai

Sir dard hone ka karan
Sir dard hone ke kai karan hote hai but me unme se kuch normal karan bata raha hu

1.       Lagatar computer par atyadhik kaam karne se
2.       Mood kharab hone se
3.       Aanuvanshik prabhav(heredity effect)
4.       Jyada sharab (wine) pine ki wajah se
5.       Jyada tanav me rahne se
6.       Lagataar kaam karne se(non-stop work) se
7.       Jyada  sochne ki wajah se bhi sir me dard hota hai
8.       Nind puri na hone ki wajah se



Mosami Sir dard Kyu hota Hai

Doctors ka manana hai ki mind me sthit internal clock sarkdian readem ko control karte hai hamara internal clock din me hone vali roshni ke prati sensitive hota hai or yah hamari nind ke cycle ko control karne me madad karta hai nind ke is cycle ke bigadne ya badlane se Mosami Sir DArd hone ki aashanka bad jati hai garmi ke mosam me sirdard ki sikhayat migren ke roop me bad jati hai kyuki migren ke marij garmi ke prati sensitive hote hai

Mosami sir dard ko manage kese kare

1.       Aapne sir dard ko ek dairy me note karte jaye isse aapko is baat ka pata chal jayega ki aapka sir dard mosami hai ya nahi or isse bachne me hlp milegi

2.       Aapko sir dard ka job hi mosam hai us duran iske trigger se bachne ki koshis kare isme bhojan, tanav, dhurmpaan, sharab(wine), nind puri na hona jese trigger shami

3.       Aelarji ke prakar ke aanusar ghar ke bahar ki gatividhiyo par rok laga de…. Dhul or fafund etc. ke sampark me aane se bachnae ki koshis kare

4.       Jis time aapna sir dard hone vala ho us time ko kisi dusre kaam me lga le jisse hamara dyan dusre kaam par chale jayega or hum sir dard ko bhul hi jayenge   
                 

Comments

Popular Posts

Friendship Day Kya Hai Or isse Kis Prakar Manaya Jata Hai

How To Make 3D Song By Android Mobile / 3D Songs कैसे बनाते है आपने एंड्राइड मोबाइल से हिंदी में सीखे

Apple Company Ke CEO Ka Introduction

3D Audio Sound Effect kya hota hai and ye sound effect work/kaam kaisa karta hai????

Friendship Day Kya Hota Hai or isse Kese Manate Hai/ What is Friendship Day And How is it Celebrate.

हमारी वेबसाइट के बारे जानो।

3D 4D 5D Video Kya Hoti hai Or Ye Kese Kaam/Work Karti Hai.

Google में अपनी Photos कैसे Upload करे? / How to upload photos on google in hindi?

Happy birthday MS Dhoni in hindi धोनी से जुड़े कुछ रोचक तथ्य सायद आप नहीं जानते होंगे

friendship day image friendship day images messages friendship images with messages images of friendship love friendship day images in hindi dosti shayari images in hindi beautiful dosti shayari