Google में अपनी Photos कैसे Upload करे? / How to upload photos on google in hindi?

Google  में अपनी Photos  कैसे Upload  करे?


Hello दोस्तों ,


 Aaj ki is post me me aapko Google me photo kaise upload kare?

 iske bare me batane wala hu. so agar aap ye janna chahte hain ki  google par photo kaise upload karte hai to fir ye post last tak read kariye.  jisme mai aapko batane wala hu ki kese aap apni koi bhi photo google search result me show karwa sakte ho.

facebook par search karne me to apki bahut sari photos mil jati hai likin google serch me nahi aati hai isi problem ko dhyan me rakhkar aaj me apko sikhane vala hu ki google search me apni photos ko kese laye .


 
Sabhi ki yahi chahat hoti hai ki unki photo google par show ho aur jab koi unka naam likh kar search kare to unki image google search me dikhayi de. lekin kya aap ye jante hai ki google par photo upload ki ja sakti hai?  to mai aapko batana chahunga ki google par photo upload nahi kiya ja sakta.

kyu ki aap khud ye baat acche se jante honge ki google ek search engine hai jisme hum apni queries search karte hai aur wo hume usse related information deta hai. so google par image upload karne ki facility nahi hai. isliye google me photo upload karna possible nahi hai google ek serach engine hai koi social networking website nahi ki aap apni photos ko direct upload kar sako.

Fir Google Par Photo Kaise Show kaare Jab Ki Photo Upload Nahi Kiya Ja sakta?


Agar aap internet par search karenge ki google par photo kaise upload kare to aapko alag – alag tareeke bataye jayenge. lekin yaha par mai aapko simple way me apni image google par show karane ka tarika bataunga. jisse ki aapki photo thode hi samay me google par dikhne lagegi.

Dekhiye Aap Kese Apni Photos Ko Google Search Me Show Karwa Sakte Ho.


1- Social Networking Sites ke Through

Ye sabse accha tarika hai internet par photo upload karne ka. bas iske liye aapko apna account 

Facebook
Twitter
Google+
Linkdln
Pinterest 
Instagram
Youtube

 Etc jaise popular social networking sites par banana hoga. aur fir ispar apni image upload karni hai.


lekin image upload karte waqt bhi aapko kuch baate dhyan me rakhna jaruri hai jo ki iss prakar hai-


1.

jis image ko aap upload karna chahte hai usko rename kar ke apna naam likhiye ya fir jis bhi naam se google par uss image ko dekhna chahte hai wo naam likhiye .


2.

 image ko public karna na bhule. kyu ki image public visibility par save hogi tabhi wo image internet par show hogi.

Me Apko Dikhata Hu Ki Mene Kese Apne  Friend Ki Photos Ko Google Search Me Lane Ki Koshis Ki.




social media sites par picture uplaod karne ke baad aapko thoda wait karna padega. kyu ki google search me ane ke liye thoda time lagta hai. kuch din baad jab aap google me apna naam likh kar search karenge to aapke dwara upload ki gayi image bhi show hone lag jayegi.

2-  Blog ya Website ke Through

ye ek most popular way hai apni photos google par show karane ka. bahut sare log apna blog ya website bana kar uspe image upload karte hai jo ki thode samay me internet par show hone lagti hai. so agar aap bhi apni image search engine me dekhna chahte hai to fir aapko jarurat hai blog or website banane ki.

aap blogger.com par jakar ek free blog bana sakte hai aur isme thoda bahut content likh kar apni photo upload kar sakte hai.

content aur photo upload karne ke baad usko publish kar dijiye. bus ab aapko kuch karne ki jarurat nahi hai. thode din wait kariye kyu ki mai aapko pahle bhi bata chuka hu ki google par image show hone me time lagta hai. kuch din baad aap dekhenge ki aapke dwara uplaod ki gayi image google search image me show hone lagegi.

proof dekhiye meri website www.regularfacts.com ki all images kese first rank par aati hai.
yese hi ager apke naame se bhi koi blog ya website hogi to apki all images search me aayegi.



Important Note- images or content ko google me fast index karane ke liye aap google webmaster ka istemal kar sakte hai. isse aapki image google ki najro me zaldi aa jati hai. Aapko image ka url google webmaster tool me submit karna hai.

google web master tool kya hota hai janne ke liye 1 din ka wait karna padega me kal bataunga ki google web master tool kya hota hai hum kese iska use kar sakte hai google web master tool ke kya kya benifit hai


me ummid karta hu ki aapko meri ye post Google Par Apni Photo Kaise Dale? pasand Aayi hogi aur aapki ye galatfeymi bhi dur ho gayi hogi ki google par photo upload nahi kiya ja sakta balki google me apni photo upload karne ke liye aapko other platform par apni image upload karni hoti hai.
other platform se google apki photos ko search me lata hai or show karta hai.

thank you for reading...

Popular Posts

Friendship Day Kya Hai Or isse Kis Prakar Manaya Jata Hai

How To Make 3D Song By Android Mobile / 3D Songs कैसे बनाते है आपने एंड्राइड मोबाइल से हिंदी में सीखे

Apple Company Ke CEO Ka Introduction

3D Audio Sound Effect kya hota hai and ye sound effect work/kaam kaisa karta hai????

Friendship Day Kya Hota Hai or isse Kese Manate Hai/ What is Friendship Day And How is it Celebrate.

हमारी वेबसाइट के बारे जानो।

3D 4D 5D Video Kya Hoti hai Or Ye Kese Kaam/Work Karti Hai.

Happy birthday MS Dhoni in hindi धोनी से जुड़े कुछ रोचक तथ्य सायद आप नहीं जानते होंगे

friendship day image friendship day images messages friendship images with messages images of friendship love friendship day images in hindi dosti shayari images in hindi beautiful dosti shayari